Government of India Banned 59 Chinese Apps

Bharat me ban hue Tiktok, Uc Browser jaise 59 Chinese apps.


Aapke Phone me chal rahe ye sare apps kaise honge band or kaise laagu hoga ban aaiye jante hai.

Bharat Sarkar ne 59 Chinese apps ko ban kar diya hai, inme Tiktok, Uc browser, Shareit, CamScanner jaise bhut hi popular apps saamil hai. 
Bharatiya Sarkar ne ye faisla users ke data ki surksha ko dhyan me rakhte hue ye faisla liya hai. Sarkar ke taraf se jaari bayan me desh ki suraksha or ekta banaye rakhne me ye ek bhut hi Mahatwapurn kadam bataya gaya hai.
Aapko bata den ki Bharat-china ke bich seema vivad hone ke baad se hi poore desh me or social media platforms pe chini saman or chini apps ko ban krne ki maang uth rahi thi.

Kaun se niyam ke tahat liya gaya ye faisla

In sari chinese apps par liya gaya action Information Technology act 2000 ke section 69A (Kisi bhi Computer sansadhan se koi bhi information ko publicly use krne pe rok lgane ka adhikar) ke tahat ki gayi hai. The ministry of Information and Broadcasting ne bataya, hume kai sutron or reports se mobile app ke jariye users ke data ki chori or bharat se bahar ke server par bina permission ke data transfer ki jankari mili thi, kyoki ye bharat ki samprabhuta or akhandta par prahar hai isliye tatkal karyawahi ki jarurat hai.

List Of Those 59 Apps


Apps Par Ban Kaise Laagu Hoga

Reports ki maane to ab Internet service providers ko in sabhi apps ko ban krne ke nirdesh diye jayenge, ho sakta hai sarkar ke taraf se jald hi users ko message mile jisme likha gaya ho "sarkar ke aadesh pe in sare apps ke access ko rok diya gaya hai" yah tarika tiktok, Uc news jaise apps pe jada kaam krega jinhe live feed ke liye Internet ki jarurat hoti hai
Aisa Ho skta hai offline chalne wale apps yunhi chlte rhe or unhe users ko khud hatana pade. Iske alawa ban kiye gaye sare apps ko play store or app store st hata diya jayega sath hi users ko aisi hi suvidha wale apps provide karaye ja sakte hai. Ek reports me kaha gaya hai ki sarkar ne Google or Apple ko 24 hours ke andar in apps ko hata dene ke nirdesh diye hai.


Follow Me On YouTube- @aditechzone

Comments

Post a Comment